Blog ko create karne me only 2 minute lagte hai, lekin blog ko maintain karne ka idea hume dheeme dheeme hi pata chalta hai. Jaise jaise aap blog ko deeply me samjhte jate hai waise waise hi aap blog ko maintain karna suru kar dete hai. for exp: Sitemap banana, sitemap ko wordpress footer me add karna, widget add karna, Social Links footer me add karna, SEO etc.


Bahut se blogger ko Blogging Start karne ke baad hi in sab points ke bare me pata chalta hai, lekin blog ko pahle se hi agar customize kar le to ranking ke sath sath impression ka bhi achcha fark padta hai.
Actually footer me page ko set karna links add karna WordPress footer me sitemap lagana ye sab bahut aasan hai.
Ye bhi Padhe
- Https Mixed Content Error Ko Fix Kaise Kare?
- Clickable elements too close together ko fix kaise kare?
- Best Web Hosting low budget me Kaun si aur kaha se kharide?
- Blog ke Theme ki Ranking Kaise Check kare? how to check theme ranking
Footer me Sitemap page add karna kyu jaruri hai?
Kabhi Kabhi Google ya other Search Engine aapki website ke homepage se sitemap ko scan karta hai jo aapki site ke liye behtar rank karane me help karta hai.
Aapke users/visitor ke liye sitemap list best hai kyuki agar aapki site me bahut jyada post hai to user wordpress footer me sitemap par click karke post list ko aasani se dhund sakta hai.
Agar aap kisi bhi blogger ki website ko open karenge to aapko footer me sitemap ka page jarur dikhega aur ye ek professional blogger ki pehchan bhi hoti hai.
Last post me aapne sitemap ko banana sikh liya tha aur sitemap ko Google Searh console me submit karna bhi sikh liya tha. Ab sitemap ko wordpress footer me add karne ke bare bataunga.
Yadi aapne Sitemap create nahi kiya hai to is post ko read karke apni website ke liye sitemap bana le.
Sitemap ko WordPress footer me add kare in hindi
Sitemap ko footer me link karna bahut aasan hai aap in steps ko follow karke aasani se sitemap page ko footer me add kar sakte hai.
Step 1
- WordPress ke dashboard me Appearance option me Menu par click kare.
- Menu Option me jakar us Footer baar menu par click kare jisme aapne Privacy Policy, About us, Contact us ke page create kiye hue ho
Agar aapne Footer menu na banaya ho to pahle Footer menu create kar le
Appearance Ke Menu option par jakar Create a Menu par click kare


- Create a new menu: par click kare
- Menu Name: Yaha par Footer Baar ya other naam likhe
- Create Menu: Create Menu par clik kar de.
Footer create kar lene ke baad aapko usme pages add karne honge jo aapne create kiye ho.


- Pages: Yaha par apne page ko select kare jo aapne create kiye ho.
- Add to Menu: Add to menu par click kar de.
Aapka Footer Page menu ban gaya hai, Ab baat karte hai Main Topic ki, sitemap ko footer me kaise add kare.


Menu option par hi Custom Links ke option par click kare.


- URL : Yaha apne sitemap ka URL dale agar aapko apna sitemap url nahi pata to niche diye code ko copy kar le aur example ki jagah apni site ka naam daal de.
- Link Text : Yaha Sitemap Naam likh de.
- Add to Menu : Ab Add to Menu par click kar ke Save kar de.
- Auto add pages: Is option Tick mark laga de, isse benefit ye hoga ki jab bhi aap koi naya page banayenge to ye automatic footer bar me add ho jayega
https://www.example.com/sitemap_index.xml
Note: Agar aapke URL me SSL Certificate (Https) nahi laga hai to ye code copy kare
http://www.example.com/sitemap_index.xml
Ab aapka Sitemap WordPress footer me add ho chuka hai. Ab view profile check karke niche footer check kar sakte hai ki usme sitemap show ho raha hai ya nahi.
Ummid karta hun ki ab aap Sitemap Ko WordPress Footer me add karna sikh gye honge agar kisi bhi prakar ki sitemap ko add karne me samasya aati hai to comment box me puch sakte hai, aapke comment ka reply turant diya jayega.
Yadi aapko Sitemap Ko WordPress Footer me Kaise Add Kare [2020] article pasand aaya ho to is article ko share karna na bhule.
Ye bhi Padhe
Yeh sari settings karne ke bad footer ki jagah header me place ho jate he pages and sitemap, and fir vaha par primary menu ki jagah set ho jata he
Wo isliye kyunki ye sari setting aap primary heaper menu me kar rhi hai.
aap post ko dhayn se read kare, sabse pahle aap Footer Menu ko select kare uske baad hi sitemap, privacy policy etc pages ko add kare